Sunday, February 01, 2009

AAJ HAMARE DESH KI DASHA

Download the original attachment
Parchalit kahavat hai ki dash-here ke din yadi koi vayaki neelkanth dekh le to uski saat peeriya tar jati hain arthat bhog vilas sukh sampada use prapt hoti hai, Kyonki neelkanth ko bhagvan shiv ka aashirvad prapt he. Ek gaon men ek moodh vayakti tha. Usne bhi yeh katha suni thee. Dash-here se ek din pehle vah vayakti jungle men neelkanth dhoondne laga. Dash-here ke din usne ek vriksh per neelkanth ko dekha aur uske piche lag liya. Vayakti ne socha men to dekh hi chuka hoon, apne poore gaon ko bhi dikha deta hoon sabhi ka bhala ho jayega. Neelkanth dar ke mare apni khoh men ghus gaya. Veh vayakti bhi danda lekar pair per chadh gaya aur khoh men danda dalkar neelkanth ko nikalne ka prayas karne laga. Isi khichtan men neelkanth sawarg sidhar gaya. Us vayakti ne neelkanth ko apni baniyan men lapeta aur gaon men lotkar seedha buzurg Brahman ke yahan aaya aur pucha pandit ji yadi jeevit neelkanth dekhne per peeriyan tar jati hen to mara neelkanth dekhkar kya hota hai. Pandit ji ne kaha ki saat pushte doob jati hen. Unki kabhi unnati nahi hoti. Us mood vayakti ne apne baniyan se mare neelkanth ko sabke samne dalte hue kahaYadi doobna hi hai to sab mil kar dobenge. Lo men akela kyon dekhoon tum sab bhi dekho mara neelkanth.

Aaj hamare desh men yahi ho raha hai.



Anandsuman Singh

Dehradun

1 Comments:

At 2:58 PM, Anonymous Theresaptdi said...

Vol. The big figure refers to the first three digits of the overall currency rate and is usually shown in a smaller font size or even in shadow. You can appear for required information ahead of making any selections. ETFs Whatever happened to stocks and bonds?

 

Post a Comment

<< Home