Friday, June 01, 2007

TATHAGAT by Dr. CHATURBHUJ, some extracts

LAST WORDS OF BUDHA, just before his PARINIRVANA:-

1. After me there will be no 'SHASTA' (Guru, guide, etc.). My teachings will be your 'SHASTA'.

2. PraatiMoksh ko apna achaarya, apna pradip aur apna kosh samajhna chahiye. Iski aavrati karni chahiye jaise mere jeevan kaal mein karte the. Hamare bhakton ke liye char sthanon ka bada mahatwa hoga - Lumbini jahan shasta ka janm hua, Bodh Gaya jehan shasta ne gyan ke darshan kiye, Sarnath jehan pratham dharm updesh diya aur yeh Kushinara jehan shasta parinirvan praapth karein.

3. Bhagwan ne aage kaha: Chhama ke saman koi tap nahin. Jo chhamawan hai woh shaktiman hai, dhairyavan hai. Krodh ko thoda bhi prashray na do. Krodh yash to nasht karta hai, yeh hriday ki agni hai, yeh gunon ka shatru hai; krodh pravrajya ke pratikul hai. Aasakti dukh ka niwas vriksh hai. Chanchal chitt ka daman karna uttam hai...

Is tarah anek vishyon per tathagat ne updesh diye. Woh thak gaye. Fir chir nidra mein chale gaye. Mahanirvan ko prapt hue. Sharir sthir ho gaya. Vani ruk gai.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home