Wednesday, January 11, 2006

SHAADI AUR PAANCH SAAL BAAD

Abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
> khushi ke maare mera bura haal tha,
> khushiyaan kuch yoon umad rahin thi,
> ki sambhale nahi sambhal rahi thi,
>
> subah subah madam ka chai le kar aana
> thoda sharmate hue hume need se jagana,
> wo pyaar bhara hath humare ballon main
> phirana, muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
> jaldi se ready ho jao,
> aap ko office bhi hai jana.
>
> gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
> dil or dimag par poori tarah chai thi,
> saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
> ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.
>
>
>
> *5 saal baad........*
>
>
>
> subah subah madam ka chai le kar aana,
> table par rakh kar jor se chilana,
> aaj office jao to munna ko school chodte hue
> jana..............
>
> ek baar phir wohi awaaj ayi,
> kya baat hai abhi tak chodi nahi charpai,
> agar munna late ho gaya to dekh lena,
> munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.
>
> na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
> dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
> sans bhi lete hai to uni ka khayal hota hai,
> har samay jehan main ek hi sawal hota hai,
> kya kabhi wo din lot ke ayenge,
> hum ek bar phir kuwaaren ban payenge
>
>
>
>

0 Comments:

Post a Comment

<< Home